मंगलवार, 9 मार्च 2021

Woman's ?

Mujhe lagta h ki agar ek woman ko achha bhai, achha pati, or achha pita tabhi mil Sakta h jab vo women ki vichar dhara dharmik hone se achha Sikshit ho. 
Kyuki hum dekhte h dharam ka ajgar family se alag samaj ko bhi nigalta h
Ye samaj vhi h Jo har Ghar se milkar Banta h or Ghar whi hota h jo ek woman ke bina kabhi pura nhi ho Sakta. 
    Isliye ek woman ko dharm se upper uthh kar Siksha, Science ka Gyan bhut jruri h ek achhe samaj ko bnane ke liye . 
    Hum adhiktar dekhte h andhvisvas ki bediya  humre samaj ko aaj bhi jakde huve h or Aamtaur par womens ki bhagidari kahi jyada h Pakhand me. 
  Me kabhi kabhi vichar krta hu jese hum dharm ke liye program, pandaal or bhi bhut kuch ka ayojan krte h jisse hume sirf kalpnao ke Siva kuch hasil nhi ho pata. 
   Kitna achha hota ese hi chote bade Science programe k dwara bhi gramin se seheri area tak tmaam trah ki jaankari muheyaa kraa ske jisse home samajeek or vechaarik rup s anubhav ho ki tarkseel hona or dharmik hona dono me kitna fark h... #